Masoom Mohabbat ka .... bas itna fasana hai,
Kaagaj ki haveli hai....Barish ka zamana hai,
Kya Shart-e-mohabbat hai
Kya Shart-e-zamana hai
Awaaz bhi zakhmi hai aur Geet bhi gana hai.
Us paar utarne ki Umeed bahut kam hai,
kashti bhi purani hai....Toofan ko bhi aana hai.
Samjhe ya na samjhe wo andaaj mohabbat ke,
ek shaksa ko aankhon se hale dil sunana hai.
............
Bholi si ada ,
koi phir ishq ki zid par hai,
phir aag ka daria hai....aur Doob ke jana hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment